muh ki baat sune har koi, dil ke dard ko jane kaun
awazon ke bazaron me, khamoshi pahchane kaun
sadiyon sadiyon wahi tamasha, rasta rasta lambi khoj
lekin jab hum mil jate hian kho jata hai jane kaun
woh mera aaeena hai aur main uski parchhai hoon
meri hi ghar me rahta hoon, mujh jaisa hi jane kaun
kiran kiran alsata suraj, palak palak khultee neende
dheer dheere bikhar raha hai, jarra jarra jane kaun
muh ki baat sune har koi, dil ke dard ko jane kaun
awazon ke bazaron me, khamoshi pahchane kaun.
PS:
This is a copied poem, Liked it so posted!
Karl Marx @ 200
7 years ago

No comments:
Post a Comment